Saturday 25 June 2011

Aam Sansari aur Bhaktivaan by Mangat Rai Bhagat ji

Shri Satguru Devai Namah

Dandot Vandan anek bar Sarv kala Samrth,
Dolan te rakho Prabhu, Nanak de kar Hath.

BOLO JAIKARA BOLO MERE SHRI GURUMAHARAJ JI KI JAI

Satpurushon ke kuch Vachan evam thodi vyakhya niche di jarahi hai.

Gur Bani me ek jagah likha hai ;-

Mayadhari ati anna bola, Sabad na sunai bahu rol ghachola.
Gurmukh jape sada liv laye,Hari Naam sun mane Hari Naamsamaye.
Jo Tis bhave so kare karaya, Nanak vajda jantr vajaya.

Yani ki maya ke prabhav se sansari vichar jeev ko bahutbaharmukhi bana dete hain.
Wo bahut uljha hua rehta hai. Uski sach dekhne sunne kitakat khatam ho jati hai. Jiski vajah se bolta to bahut hai. Ander se behadconfused aur pareshaan rehta hai.

Agar sobhagya se wo Satpurushon ki Charan Sharan me aa jatahai , aur andermukh hone ki taraf badhta hai to wo sewa bhakti karke sumiran mejudne lagta hai.. Dheere dheere use ander ka shabad sunai dene lagta hai. Uski Naamme liv lag jati hai aur wo Naam me hi sama jata hai. Phir use duniya ke kamo kichinta nahi satati. Kam Satpurushon ki Kirpa se uske sharer rupi yantr seautomatically hote rehte hain. Uski surti bhi shabad ki dhun se judi rehti hai.

Lekin iske liye samarpan uche darje ka bane aur Vishesh ShriKirpa ho tabhi baat banti hai. Aatma aur Parmatma yugo se bichude hain aur ekdusre se alag hue pade hain

Parmatma aur Aatma juda hue bahu kaal,
Sunder vela aa gayajo Satguru mile Dayaal.

Duri bane hue time ho gayahai, isliye duri mitane me bhi time lagta hai. Vicharo ko Shri Mauj aurprarabdh ke anusaar badalna hota hai.

Sheikh  Farid ji likhte hain;-

Mai jana dukh mujh ko, dukh sabai jag.
Uche chad ke dekhia, Ghar ghar eho agg.

Means kuch napasand bato ko dekh kar ham samajhte hai ki yehamare saath hi ho rahi hain. Magar jab apni surti ko upar lejakar dekhte hainto pata chalta hai ki yeh to apne purv karmo ke anusaar sab ke saath hai. Aurise bhakti ki takat se asani se gujara ja sakta hai.

Hamare kuch ache karm bhi hain. Jiski vajah se hame yehdurlabh dehi aur Satpurushon ki Charan Sharan mili. Ek achhi ruh ko eksanskarvan patni se compare kiya ja sakta hai. Jo apne pati ki thodi kamai kobhi suljhe hue dhang se kharch karke apna ghar ko kabile tareef bana leti hai.Hamari surti ke paas bhi kimti swaso ka kuch dhan  hai. Yadi pralabdh se mile hue sukh dukh ko sumjankar hum apna time aur swans sewa sumiran me lagate hain .To hum apne sarekarmo ke net ko kat ker apne maalik se ekakar ho jate hain. Agar hum fijul kharchime apne time aur samratha ko waste kate rehte hain to khali ho jate hain.Invicharo par gaur karne ki jaroorat hai. 

Guru Nanak Dev ji Farmate hain;-

Jo sukh ko chahe sada, Sharan Ram ki le,
Keh Nanak sun re mana, Durlabh manush deh.

Manush janam ki durlabh opportunity ka labh uthana hai tohame apne vicharo ko mod kar Sache Gurmukh banana hai aur apna kalyaan karnahai.

Jab humare vichar badal jate hain to hamari problems bhibadal jati hain. Ramcharit manas me ek jagah Shri Hanuman Ji Shri Ram Ji sekehte hain;-

Kahe Hanumant vipati prabhu soi , Jab tav sumiran bhajan nahoi.

Ek dohe me yeh bhi Gurmukh ke bare me kaha hai ki;-

Gurmukh ke man sada khushi, Nit sewa bhakti ki pyaas.
Manmukh rahe nit jhoorta, kar vishyan ki aas.

Ham Sobhagyashali hain jinhen samey ke Puran Satpurushon kicharan Sharan naseeb hai. Hame  nityeprati shradha se Niyampurvak nishkam sewa evam sumiran karke aur dono samay PanchoNiyam pura karte hue sache marg par aage badhna hai , apna kalyan karna hai aurSatpurushon ki Prasannta prapt karni hai.

Yeh Satpurushon ke Anubhavi Vachan upar likhe hain. Vyakhyakarne ki chook ke liye das n das mafi ki benti arj karta hai.

Jai Sachidanand Ji.


BOLO JAIKARA BOLO MERE SHRI GURUMAHARAJ JI KI JAI

Thursday 23 June 2011

शिक्षा


  1. अपना ध्यान सदा श्री गुरु महाराज जी के श्री चरणों में लगाये रखो और श्री आज्ञा का पालन करो | सतगुरु ही सुख का   सागर हैं |
  2. हर स्थिति में गुरु का दामन मजबूती से पकड कर रखो, उन पर विश्वास रखो, प्रार्थना करो, वो हर परिस्थिति में  अपने  सेवक  की रक्षा करते हैं |
  3. जब अवगुण देखने हों तो अपने देखो और जब गुण देखने हों तो दूसरों के देखो |
  4. जो दूसरों के लिए खड्डा खोदता है, वो खुद उस खड्डे में गिर जाता है |
  5. खुद को निमाणा मानो | सतगुरु ही सर्वोपरि हैं | यदि तुम सतगुरु से प्रेम करते हो तो दूसरों से भी बड़े प्रेम,  नम्रता  और  आदरपूर्वक  व्यवहार करो | 

Thursday 16 June 2011

गुरु शरण आने के बाद



क्या-क्या बदल गया है, गुरु शरण आने के बाद |
दास भी सुधर गया है, गुरु शरण आने के बाद ||

जिंदगी बेरूख थी, शरणागति से पहले |
दुःख कल्पना में गुजरी, शरणागति से पहले |  
हमें होश ही कहाँ थी, शरणागति से पहले |
जीवन संवर गया है, गुरु शरण आने के बाद ||

कुछ भी न पता था, शरणागति से पहले |
अवगुणों से भरा था, शरणागति से पहले |
बुराइयों में था उलझा, शरणागति से पहले |
इंसान बन गया हूँ, गुरु शरण आने के बाद ||

राह गलत चुनी थी, शरणागति से पहले |
मन मर्जी चलती थी, शरणागति से पहले |
कटती न जिंदगी थी, शरणागति से पहले |
दिशा बदल गयी है, गुरु शरण आने के बाद ||


न तुमको जानते थे, शरणागति से पहले |
खुदा को ढूँढ़ते थे, शरणागति से पहले |
रहमत न जानते थे, शरणागति से पहले |
मुझे मिल गया मसीहा, गुरु शरण आने के बाद ||


क्या-क्या बदल गया है, गुरु शरण आने के बाद |
दास भी सुधर गया है, गुरु शरण आने के बाद ||




Wednesday 8 June 2011

By Hari Malhotra

प्रेम भाव

आज कल याद कुछ और रहता नहीं, एक बस आपकी याद आने के बाद
याद आते ही दीदार दे दीजिये, और ले जाईये हमको अपने ही साथ !


अपने चरणों में मुझ को बसा लीजिये, और आनंदपुर मेरा घर बना दीजिये,
क्या करें दिल कहीं और लगता नहीं, श्री आनंद पुर को दिल में बसाने के बाद !!

तेरी लीला के अजब  फसाने सुने, तेरे जलवो के किस्से  पुराने सुने !
 जब से जलवों को देखा प्रभु आपके, याद कुछ न रहा उस नज़ारे के बाद !

आपका रूप  दिल  से  निकलता   नहीं, अपने  दिल पे  कोई  जोर   चलता  नहीं
दास की चरणों में बस अरज है यही, ध्यान चरणों में हो, स्वांस जाने के बाद !

Monday 6 June 2011

By Naveen



Kaliyaan sab phool bani dekho ajab nazaare hain,
Dharti par aaj swyam bhagwan hamare padhare hain,

Bin dhanush, bina pankhi, bin mukut ye aaye hain,
Sunder darshan phir bhi, sabke man ko harshaye hain,
Brahma Vishnu chipkar dekhe yeh nazaare hain,
Dharti par aaj swyam bhagwan hamare padhare hain,

Kaliyaan sb phool bani dekho ajab nazaare hain,
Dharti par aaj swyam bhagwan hamare padhare hain.

Suraj bhi kirnon sang darshan karne aaya hai,
Chanda bhi khushiyon se khil  aaj muskaya hai,
Ambar ka har tara bhi jai - jaikaar pukare hai,
Dharti par aaj swyam bhagwan hamare padhare hain,

Kaliyaan sb phool bani dekho ajab nazaare hain,
Dharti par aaj swyam bhagwan hamare padhare hain.

By Sanjay Jumani





  1. Chahe bina man ke bhajan karna pade to bhi karokyunki bhajan main itni shakti hai ki man bhi simran dhyan me lag jaye ga.
  2. Jo tu 5niyam nibhayega to tu bhav sagar tar jayega.
  3. Agar aap roz 1 ghnta shri simran dhyan karoge to us din aap bhut hi khush hongesirf 1ghante me itni shakti hai.
  4. Shri guru maharaj ji to hum sabka bhala chahte hain magar hum moh maya me fass jaate hain
  5. Magar dhyan rahe hum gurmukho ka ye aasli kaam hai isliye hum malik ki bhakti kar apna jiwan safal banayein.  Malik ki sewa me he hum gurmukhon ka jiwan shri guru maharaj ji ke dhyan me gujar jaye.

Bolo jai kara bolo mere shri guru maharaj ki jai

SHRI PRAYAGDHAAM LEELA





SHRI PRIYAG DHAAM ME SHRI DARSHAN KHULE THE TAB EK PREMI SHRI BHAJAN GA RAHA THA AUR SAARI SANGAT NAACH RAHE THE. JO PREMI BHAJAN GA RAHA THA USE SHRI GURU MAHARAJ JI NE KAHA KI JO AAP BHAJAN KI LINE BOL RAHE HO WO LINE PUURA EK GHANTA BAR.BAR GAO. AUR SAARI SANGAT KO FARMAYA KI AAP SAB GURMUKH BHI PUURA EK GHANTA LAGATAR NAACHO. TO WO PREMI BHAJAN GAANE LAGA AUR SAARI SANGAT NAACH NE LAGI TAB WAHAN PAR SHRI GURU MAHARAJ JI KE AAGE JO 3TEDDY BEER PADE HUE THE WO TEENO TEDDY BHI NAACHNE LAGE.

JAISE HI SANGAT NE UN TEENO TEDDY KO NAACHTE HUE DEKHA TO BAR BAR JAI KARA BOLNE LAGE. TO ZARA SOCHO PREMIO US TIME KA DARSHAN DIDAR US TIME KA NAJARA US TIME KI SHRI ANMOL LILA. TO GURMUKHON,  KYON NA HUM SAB GURMUKH JEN MILKAR BAR BAR JAI KARA GAAYEIN AUR APNA LOK.PARLOK BHI SUDHARE.

BOLO JAI KARA BOL MERE SHRI GURU MAHARAJ KI JAI
LILA DHARI BHAGWAN KI JAI